Kabhi pal palchin bankar udh gaye,
Toh kabhi bitaye na beete lamhe;
Kabhi mahine khanto mein gum gaye,
Toh kabhi din-din ginke din guzre.
Par ab aagayi hai wo rehmato ki bahaar,
Jiska tha jaise sadiyon se intezar;
Mohabbat aur barkat ka khazana liye,
Dekho aagaya hai Ramzan hum sab ke liye.
Chand ka deedaar har dard mita deta hai,
Yeh ek maah jeene ka matlab sikha deta hai;
Rozedaaro ke dil mein rehta hai yeh,
Sabar aur shukar ka payqaam laata hai yeh.
Insaniyat aur Ibadat ka yeh chiraqah hai,
Talabgaro ke liye rehnuma-ek masiha hai;
Waqt bhi jaise iske liye tarasta raha,
Aagaya maah-e-Ramzan khushiyo bhara.
No comments:
Post a Comment